Ek kahaani…
Ek chhota sa khargosh tha. Us din woh thoda der se so kar utha. Uthne ke baad usne ghar ke bahar jhaank kar dekha. Suraj kafee upar aa chuka tha. Bhookh bhi lag rahee thi. Woh jumping jumping karta hua Joggers’ Park ki taraf dauda.
Good God, ghaas abhi bhi bhingi thi – oss se. Woh sabse green wale potion me gayaa, aur khana shuru kara. Tabhi uski najar gayee ik titli ki taraf. Woh uski taraf dauda. Titli ne use dekh liya tha, woh bhi udne lagi. Titli upar upar udti, khargosh neeche neeche daudta. Ab titli thak gayee. To woh unche daal par ja kar baith gayee. Khargosh ne use neeche bulaya – kai baar, lekin titli ko shayad neend aa gayee, aur woh neeche nahi aayee. Khargosh bore ho gaya aur fir green green grass ki taraf chala gayaa.
Tabhi ek bandar aaya. Khargosh bhaag kar ek jhaadi ke peechhe chhup gaya. Last time jab bandar aayaa tha, usne khargosh ki poonchh kheech kheech kar bahut pareshaan kiya tha. 10 minute beet gaye, tab jaa kar bandar gayaa. Khargosh ka pet ab tak bhar gaya tha.
Ab school ka time ho gayaa. Khargosh ne school bag uthaya, aur school chala. Aaj to Thursday hai, aaj Neeli aankhon wali mam ki class hai. Are, woh to home work karna bhool hi gayaa. TV jyaada dekhne se yahi hota hai. Aaj fir use lambi chooti wali khargoshni se maangna parega – homework copy karna parega. Ok, uske lie badle me gift bhi lena parega – tasty tasty gazar J
Tabhi raste me ek motorbike se Salman Khan gujra, aur usne khargosh ko nahi dekha, aur uske just bagal se bike daudaa di. Uii maa! Aaj to gayaa hi tha! Jaan bachi… Ab woh Bandra wale area me jaa raha tha – kafi film stars yahin rahte hai. Armaan Malik bhi rahta hai, dus baje tak to jogging hi karta rahta hai – usko school nahi jana padta hai na, islie. Kaash, khargosh bhi kisi celebrity pariwaar me paida hota – tab usko bhi TV wale dikhaate TV par – aur bahut majaa aata!
School aa gayaa. Prayer ho rahaa tha.
Oh God, reform thy world….
Are, ye kyaa? Lambi chooti wali ke eyes bhi neele ho gaye? Ye kaise hua? "Contact lens buddhu!" ok ok.
Are, ye kyaa? Mam to aaj bilkul patli ho gayee, Sushmita ki tarah! Cosmetic surgery karayaa hai – mai jaanta hoon; buddhu nahi hoon main. J
Ab saari duniya badal rahi hai. Par mai kya karoon? Khargosh confuse ho gayaa. Kyaa use bhi Salman Khan bananaa chahie? Kyaa use bhi conmetic surgery kar ke slim and six-pack walla bananaa chahiye?
Khargosh ne bahut sochaa. Bahut. Kyaa Salman Khan ghaas khata hai ? nahi. Kyaa six-pack wale school jate hain ? nahi. To mujhe nahi bananaa woh sab. Mai khargosh hi achchha ! Kyonki I love my grass. And I love my school.
:B